masti-e-baada-e-gulfam se wabasta rahi
mastī-e-bāda-e-gulfām se vābasta rahī
zindagī raqs-e-mai-o-jām se vābasta rahī
log kahte haiñ ki kuchh us meñ mirā zikr bhī thā
vo hikāyat jo tire naam se vābasta rahī
dil jo ghabrāyā to mai-ḳhāne meñ ham jā baiThe
har ḳhalish bāda-e-gulfām se vābasta rahī
us kī majbūrī-e-paiham pe zarā ġhaur kareñ
jo tamannā dil-e-nākām se vābasta rahī
'arsh' muddat huī go tark-e-mai-o-jām kiye
phir bhī tohmat ye mire naam se vābasta rahī
masti-e-baada-e-gulfam se wabasta rahi
zindagi raqs-e-mai-o-jam se wabasta rahi
log kahte hain ki kuchh us mein mera zikr bhi tha
wo hikayat jo tere nam se wabasta rahi
dil jo ghabraya to mai-KHane mein hum ja baiThe
har KHalish baada-e-gulfam se wabasta rahi
us ki majburi-e-paiham pe zara ghaur karen
jo tamanna dil-e-nakaam se wabasta rahi
'arsh' muddat hui go tark-e-mai-o-jam kiye
phir bhi tohmat ye mere nam se wabasta rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.