Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dad-o-dahish ka aap ki KHugar nahin hun main

Hijr Moumin

dad-o-dahish ka aap ki KHugar nahin hun main

Hijr Moumin

MORE BYHijr Moumin

    dād-o-dahish aap ḳhūgar nahīñ huuñ maiñ

    be-sāḳhta suḳhan huuñ muqarrar nahīñ huuñ maiñ

    tārīf tere husn aatī hai ġhaib se

    mere qalam ke saath to yaksar nahīñ huuñ maiñ

    masrūfiyat mujh pe yuuñ hamla huā ki ab

    ḳhud apne aap ko bhī mayassar nahīñ huuñ maiñ

    bande andhī duniyā meñ hai kis ko DhūñDhtā

    andar se mujh ko DhūñD ki bāhar nahīñ huuñ maiñ

    bhī kabhī vahāñ se mirā hāl-chāl pūchh

    har baar tere baap naukar nahīñ huuñ maiñ

    sote haiñ ek saath maiñ aur iztirāb

    aa.egī niiñd jis meñ vo bistar nahīñ huuñ maiñ

    sar se le ke paañv puurī ġhazal hai aur

    tere radīf ke bhī barābar nahīñ huuñ maiñ

    dad-o-dahish ka aap ki KHugar nahin hun main

    be-saKHta suKHan hun muqarrar nahin hun main

    tarif tere husn ki aati hai ghaib se

    mere qalam ke sath to yaksar nahin hun main

    masrufiyat ka mujh pe yun hamla hua ki ab

    KHud apne aap ko bhi mayassar nahin hun main

    bande tu andhi duniya mein hai kis ko DhunDhta

    andar se mujh ko DhunD ki bahar nahin hun main

    tu bhi kabhi wahan se mera haal-chaal puchh

    har bar tere bap ka naukar nahin hun main

    sote hain ek sath hi main aur iztirab

    aaegi nind jis mein wo bistar nahin hun main

    tu sar se le ke panw ta puri ghazal hai aur

    tere radif ke bhi barabar nahin hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now