dad to baad mein kamaenge
daad to ba.ad meñ kamā.enge
pahle ham sochnā sikhā.eñge
maiñ kahīñ jā nahīñ rahā lekin
aap kyā mere saath ā.eñge
koī khiḌkī khulegī raat ga.e
ka.ī apnī murād pā.eñge
khul ke rone pe iḳhtiyār nahīñ
ham koī jashn kyā manāeñge
hañseñge terī bad-havāsī par
log rasta nahīñ batā.eñge
tum uThāoge koī rañj mirā
dost ahbāb haz uThā.eñge
hameñ apnī talāsh meñ mat bhej
khaḌī fasleñ ujaaḌ ā.eñge
dad to baad mein kamaenge
pahle hum sochna sikhaenge
main kahin ja nahin raha lekin
aap kya mere sath aaenge
koi khiDki khulegi raat gae
kai apni murad paenge
khul ke rone pe iKHtiyar nahin
hum koi jashn kya manaenge
hansenge teri bad-hawasi par
log rasta nahin bataenge
tum uThaoge koi ranj mera
dost ahbab haz uThaenge
hamein apni talash mein mat bhej
khaDi faslen ujaD aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.