daere par hi kahin hun koi manqut-e-wajud
dā.ere par hī kahīñ huuñ koī manqūt-e-vajūd
gumbad-e-nīlī kā maiñ nuqta-e-parkār nahīñ
maiñ zamīñ par to muqayyad huuñ magar dam meñ hai dam
āsmāñ bhī to makāñ hai pa havā-dār nahīñ
ab tire baad kise dekhūñ koī hai to batā
ab koī zulf-e-tarah-dār tarah-dār nahīñ
varna sahrā se baḌā shahr na hotā koī
fitrat-e-reg meñ afrāzī-e-dīvār nahīñ
maiñ tire husn kī qīmat to lagāne se rahā
ye mirā dil hai koī misr kā bāzār nahīñ
āsmāñ par hai zamīñ arsh kī mānind muqīm
aur us arsh pe juz ahmad-e-muḳhtār nahīñ
us ke aane se kahīñ duur chale jaate haiñ
sach kahūñ chāñd se tāroñ ko zarā pyaar nahīñ
sunnat-e-hijrat-e-yasrab pe bhī chaltā lekin
ġhaar har raah meñ maujūd hai par yaar nahīñ
daere par hi kahin hun koi manqut-e-wajud
gumbad-e-nili ka main nuqta-e-parkar nahin
main zamin par to muqayyad hun magar dam mein hai dam
aasman bhi to makan hai pa hawa-dar nahin
ab tere baad kise dekhun koi hai to bata
ab koi zulf-e-tarah-dar tarah-dar nahin
warna sahra se baDa shahr na hota koi
fitrat-e-reg mein afraazi-e-diwar nahin
main tere husn ki qimat to lagane se raha
ye mera dil hai koi misr ka bazar nahin
aasman par hai zamin arsh ki manind muqim
aur us arsh pe juz ahmad-e-muKHtar nahin
us ke aane se kahin dur chale jate hain
sach kahun chand se taron ko zara pyar nahin
sunnat-e-hijrat-e-yasrab pe bhi chalta lekin
ghaar har rah mein maujud hai par yar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.