dagh chehre ka yunhi chhoD diya jata hai
daaġh chehre kā yūñhī chhoḌ diyā jaatā hai
aa.ina zid meñ magar toḌ diyā jaatā hai
terī shohrat ke pas-e-parda mirā naam bhī hai
terī laġhzish se mujhe joḌ diyā jaatā hai
koī kirdār adā kartā hai qīmat is kī
jab kahānī ko nayā moḌ diyā jaatā hai
ik tavāzun jo bigaḌtā hai kabhī ruuh ke saath
shīsha-e-jism vahīñ phoḌ diyā jaatā hai
dagh chehre ka yunhi chhoD diya jata hai
aaina zid mein magar toD diya jata hai
teri shohrat ke pas-e-parda mera nam bhi hai
teri laghzish se mujhe joD diya jata hai
koi kirdar ada karta hai qimat is ki
jab kahani ko naya moD diya jata hai
ek tawazun jo bigaDta hai kabhi ruh ke sath
shisha-e-jism wahin phoD diya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.