dagh-e-dil aur itna taban
dāġh-e-dil aur itnā tābāñ
ġham kī sab ḳhurshīd-badāmāñ
ḳhūn-e-jigar kī jitnī shirkat
utnī rangīñ fasl-e-bahārāñ
insāniyyat kī manzil se
aaj bhī kosoñ duur hai insāñ
ġham kī amānat vāpas kar duuñ
itnā Thahar ai gardish-e-daurāñ
de kar ḳhūn-e-dil 'rehānī'
aao badal deñ rang-e-gulistāñ
dagh-e-dil aur itna taban
gham ki sab KHurshid-badaman
KHun-e-jigar ki jitni shirkat
utni rangin fasl-e-bahaaran
insaniyyat ki manzil se
aaj bhi koson dur hai insan
gham ki amanat wapas kar dun
itna Thahar ai gardish-e-dauran
de kar KHun-e-dil 'rehani'
aao badal den rang-e-gulistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.