dagh-e-dil zaKHm-e-jigar yaad aaya
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar yaad aaya
jab vo mahbūb-e-nazar yaad aayā
yak-ba-yak bujh ga.e āñkhoñ ke diye
kaun ye rashk-e-qamar yaad aayā
lag sakī aañkh na phir tā-ba-sahar
jab vo ḳhvāboñ kā nagar yaad aaya
nazar aate hī nishān-e-manzil
daf.atan raḳht-e-safar yaad aayā
shiddat-e-shauq-e-huzūrī meñ mujhe
sajda yaad aayā na sar yaad aayā
markaz-e-fikr thā ik mahr-jabīñ
matl-e-nūr-e-sahar yaad aayā
tū hai maa.il ba-tabassum 'at.har'
aur mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar yaad aaya
jab wo mahbub-e-nazar yaad aaya
yak-ba-yak bujh gae aankhon ke diye
kaun ye rashk-e-qamar yaad aaya
lag saki aankh na phir ta-ba-sahar
jab wo KHwabon ka nagar yaad aaya
nazar aate hi nishan-e-manzil
dafatan raKHt-e-safar yaad aaya
shiddat-e-shauq-e-huzuri mein mujhe
sajda yaad aaya na sar yaad aaya
markaz-e-fikr tha ek mahr-jabin
matl-e-nur-e-sahar yaad aaya
tu hai mail ba-tabassum 'athar'
aur mujhe dida-e-tar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.