dagh-e-furqat visal ki baaten
dāġh-e-furqat visāl kī bāteñ
chhoḌ ḳhvāb-o-ḳhayāl kī bāteñ
zindagī kyā hai ik qayāmat hai
dard aaheñ malāl kī bāteñ
kashf vāloñ ko ham batāte haiñ
mo.ajizāt-e-jamāl kī bāteñ
fikr ham ko kamāl-e-fan kī hai
vo sunā.eñ zavāl kī bāteñ
mere afsānoñ meñ to bikhrī haiñ
gardish-e-māh-o-sāl kī bāteñ
zikr-e-māzī azaab jaisā hai
us se bad-tar ye haal kī bāteñ
chāñd jaltā hai jab bhī hotī haiñ
tere husn-o-kamāl kī bāteñ
aao 'dānish' se aaj sunte haiñ
ulfat-e-lā-zavāl kī bāteñ
dagh-e-furqat visal ki baaten
chhoD KHwab-o-KHayal ki baaten
zindagi kya hai ek qayamat hai
dard aahen malal ki baaten
kashf walon ko hum batate hain
moajizat-e-jamal ki baaten
fikr hum ko kamal-e-fan ki hai
wo sunaen zawal ki baaten
mere afsanon mein to bikhri hain
gardish-e-mah-o-sal ki baaten
zikr-e-mazi azab jaisa hai
us se bad-tar ye haal ki baaten
chand jalta hai jab bhi hoti hain
tere husn-o-kamal ki baaten
aao 'danish' se aaj sunte hain
ulfat-e-la-zawal ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.