dagh husn-e-qamar bhi hota hai
daaġh husn-e-qamar bhī hotā hai
aib rashk-e-hunar bhī hotā hai
ishq ai husn be-basar hī sahī
ye haqīqat-nigar bhī hotā hai
husn hotā hai kuchh to husn-e-nazar
kuchh fareb-e-nazar bhī hotā hai
toḌ Daale jo dil kā ā.īna
vahī ā.īna-gar bhī hotā hai
dūrī-e-rañg-o-bū hazār sahī
hijr paiġhām-bar bhī hotā hai
haa.e tūl-e-hayāt-e-ishq 'sahāb'
koī lamha basar bhī hotā hai
dagh husn-e-qamar bhi hota hai
aib rashk-e-hunar bhi hota hai
ishq ai husn be-basar hi sahi
ye haqiqat-nigar bhi hota hai
husn hota hai kuchh to husn-e-nazar
kuchh fareb-e-nazar bhi hota hai
toD Dale jo dil ka aaina
wahi aaina-gar bhi hota hai
duri-e-rang-o-bu hazar sahi
hijr paigham-bar bhi hota hai
hae tul-e-hayat-e-ishq 'sahab'
koi lamha basar bhi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.