dagh sine pe jo hamare hain
daaġh siine pe jo hamāre haiñ
gul khilā.e hue tumhāre haiñ
rabt hai husn o ishq meñ bāham
ek dariyā ke do kināre haiñ
koī jiddat nahīñ hasīnoñ meñ
sab ne naqshe tire utāre haiñ
terī bāteñ haiñ kis qadar shīrīñ
tere lab kaise pyāre pyāre haiñ
jis tarah ham ne rāteñ kaaTī haiñ
us tarah ham ne din guzāre haiñ
dagh sine pe jo hamare hain
gul khilae hue tumhaare hain
rabt hai husn o ishq mein baham
ek dariya ke do kinare hain
koi jiddat nahin hasinon mein
sab ne naqshe tere utare hain
teri baaten hain kis qadar shirin
tere lab kaise pyare pyare hain
jis tarah hum ne raaten kaTi hain
us tarah hum ne din guzare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.