daim sarab ek mere andar hai kya karun
daa.im sarāb ik mire andar hai kyā karūñ
sahrā mirī nazar meñ samundar hai kyā karūñ
dekhe jo merī nekī ko shak kī nigāh se
vo aadmī bhī to mire andar hai kyā karūñ
yak-gūna be-ḳhudī ko hī ab DhūñDhtā hai dil
ġham aur ḳhushī kā bojh barābar hai kyā karūñ
achchhā to hai ki sab se milūñ ek hī tarah
lekin vo aur logoñ se behtar hai kyā karūñ
milte haiñ yuuñ to log ba-zāhir bahut gale
har āstīn meñ koī ḳhanjar hai kyā karūñ
daim sarab ek mere andar hai kya karun
sahra meri nazar mein samundar hai kya karun
dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se
wo aadmi bhi to mere andar hai kya karun
yak-guna be-KHudi ko hi ab DhunDhta hai dil
gham aur KHushi ka bojh barabar hai kya karun
achchha to hai ki sab se milun ek hi tarah
lekin wo aur logon se behtar hai kya karun
milte hain yun to log ba-zahir bahut gale
har aastin mein koi KHanjar hai kya karun
- Book : Soch Samajh (Pg. 52)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.