dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil
dām-e-ulfat meñ phañsā dil haa.e dil afsos dil
ab na hovegā rihā dil haa.e dil afsos dil
vo use kyā kyā kahe aur ye saraktā hī nahīñ
ho gayā yuuñ be-hayā dil haa.e dil afsos dil
milte hī zālim ne mujh ko chhoḌ kar yuuñ yak-ba-yak
ho gayā mujh se judā dil haa.e dil afsos dil
āh-o-nāle kī sadā bhī ab to aane se rahī
mar gayā shāyad mirā dil haa.e dil afsos dil
kis tarah us se banegī hai bahut vo bevafā
aur mirā hai bā-vafā dil haa.e dil afsos dil
maiñ ne kitnā dil ko samjhāyā ki ab bhī 'ishq se
baaz aa dil baaz aa dil haa.e dil afsos dil
so na maanā dil ne aur saude meñ āḳhir 'ishq ke
yuuñ divāna ho gayā dil haa.e dil afsos dil
chhoḌ kar mere ta.iiñ aur paas zālim ke rahe
aur sahe jaur-o-jafā dil haa.e dil afsos dil
phir to 'āsif' ġhair se kis baat kī kiije umiid
jab ki apnā de daġhā dil haa.e dil afsos dil
dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil
ab na howega riha dil hae dil afsos dil
wo use kya kya kahe aur ye sarakta hi nahin
ho gaya yun be-haya dil hae dil afsos dil
milte hi zalim ne mujh ko chhoD kar yun yak-ba-yak
ho gaya mujh se juda dil hae dil afsos dil
aah-o-nale ki sada bhi ab to aane se rahi
mar gaya shayad mera dil hae dil afsos dil
kis tarah us se banegi hai bahut wo bewafa
aur mera hai ba-wafa dil hae dil afsos dil
main ne kitna dil ko samjhaya ki ab bhi 'ishq se
baz aa dil baz aa dil hae dil afsos dil
so na mana dil ne aur saude mein aaKHir 'ishq ke
yun diwana ho gaya dil hae dil afsos dil
chhoD kar mere tain aur pas zalim ke rahe
aur sahe jaur-o-jafa dil hae dil afsos dil
phir to 'asif' ghair se kis baat ki kije umid
jab ki apna de dagha dil hae dil afsos dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.