daman pe lahu hath mein KHanjar na milega
dāman pe lahū haath meñ ḳhanjar na milegā
mil jā.egā phir bhī vo sitamgar na milegā
patthar liye hāthoñ meñ jise DhūñD rahā hai
vo tujh ko tirī zaat se bāhar na milegā
āñkhoñ meñ basā lo ye ubhartā huā sūraj
din Dhalne lagegā to ye manzar na milegā
maiñ apne hī ghar meñ huuñ magar soch rahā huuñ
kyā mujh ko mire ghar meñ mirā ghar na milegā
guzro kisī bastī se zarā bhes badal kar
naqshe meñ tumheñ shahr-e-sitamgar na milegā
daman pe lahu hath mein KHanjar na milega
mil jaega phir bhi wo sitamgar na milega
patthar liye hathon mein jise DhunD raha hai
wo tujh ko teri zat se bahar na milega
aankhon mein basa lo ye ubharta hua suraj
din Dhalne lagega to ye manzar na milega
main apne hi ghar mein hun magar soch raha hun
kya mujh ko mere ghar mein mera ghar na milega
guzro kisi basti se zara bhes badal kar
naqshe mein tumhein shahr-e-sitamgar na milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.