daman se apne jhaD ke sahra-e-gham ki dhul
dāman se apne jhaaḌ ke sahrā-e-ġham kī dhuul
aao chalo na ham bhī chuneñ sarḳhushī ke phuul
āḳhir ko mil sakī na bashar ko rah-e-najāt
yuuñ to har ek daur meñ aate rahe rasūl
dāman bachā ke aa.iyo mere mazār tak
ai jān-e-nau-bahār uge haiñ idhar babūl
dekhā kabhī jo dahr ko shā.ir kī aañkh se
ḳhallāq-e-kā.enāt bhī sadiyoñ rahā malūl
aa.egā koī jaam mai-e-sarḳhushī liye
ai dil kuchh aur der hiñDole meñ ġham ke jhuul
daman se apne jhaD ke sahra-e-gham ki dhul
aao chalo na hum bhi chunen sarKHushi ke phul
aaKHir ko mil saki na bashar ko rah-e-najat
yun to har ek daur mein aate rahe rasul
daman bacha ke aaiyo mere mazar tak
ai jaan-e-nau-bahaar uge hain idhar babul
dekha kabhi jo dahr ko shair ki aankh se
KHallaq-e-kaenat bhi sadiyon raha malul
aaega koi jam mai-e-sarKHushi liye
ai dil kuchh aur der hinDole mein gham ke jhul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.