Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein

Khan Hasnain Aqib

danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein

Khan Hasnain Aqib

MORE BYKhan Hasnain Aqib

    dānā.iyāñ aTak ga.iiñ lafzoñ ke jaal meñ

    itne javāb gum haiñ mire ik savāl meñ

    dariyā bas ik qadam kabhī sāhil samt aa

    dekhūñgā zor kitnā hai tere ubaal meñ

    ehtiyāt laakh magar haal ye huā

    aanā thā jin ko aa ga.e terī chaal meñ

    chāhtā hai tark-e-mohabbat ko baar baar

    aatā hai ek aisā bhī lamha visāl meñ

    ab kyā usūl-e-dasht-navardī baat ho

    uljhe paḌe haiñ paañv shikārī ke jaal meñ

    danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein

    itne jawab gum hain mere ek sawal mein

    dariya bas ek qadam kabhi sahil ki samt aa

    dekhunga zor kitna hai tere ubaal mein

    ki ehtiyat lakh magar haal ye hua

    aana tha jin ko aa hi gae teri chaal mein

    ji chahta hai tark-e-mohabbat ko bar bar

    aata hai ek aisa bhi lamha visal mein

    ab kya usul-e-dasht-nawardi ki baat ho

    uljhe paDe hain panw shikari ke jal mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now