dar hai mard-e-anal-haq ka watan
daar hai mard-e-anal-haq kā vatan
arsh hai mard-e-ḳhudā kī jāgīr
rok le abr-e-karam-gustar ko
khīñch kar barq-e-tapāñ kī zanjīr
aql kī panja-e-bai.at se nikal
terā murshid tirā maulā hai zamīr
us ke likkhe ko badal saktā hai ishq
jis kī taqdīr ho patthar pe lakīr
us kā ghar pūchhtī phirtī hai razā
sher-'afzal' hai anā mast faqīr
dar hai mard-e-anal-haq ka watan
arsh hai mard-e-KHuda ki jagir
rok le abr-e-karam-gustar ko
khinch kar barq-e-tapan ki zanjir
aql ki panja-e-baiat se nikal
tera murshid tera maula hai zamir
us ke likkhe ko badal sakta hai ishq
jis ki taqdir ho patthar pe lakir
us ka ghar puchhti phirti hai raza
sher-'afzal' hai ana mast faqir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.