Dar se uski na irfan juda kar usko
Daar se us kī na 'irfān' judā kar us ko
khol ye band-e-vafā aur rihā kar us ko
nazar aane lage apne hī ḳhad-o-ḳhāl-e-zavāl
aur dekhā karo ā.īna banā kar us ko
āḳhir-e-shab huī āġhāz kahānī apnī
ham ne paayā bhī to ik umr gañvā kar us ko
dekhte haiñ to lahū jaise rageñ toḌtā hai
ham to mar jā.eñge siine se lagā kar us ko
tere vīrāne meñ honā thā ujālā na huā
kyā milā ai dil-e-saffāk jalā kar us ko
aur ham DhūñDte rah jā.eñge ḳhushbū kā surāġh
abhī le jā.egī ik mauj uḌā kar us ko
Dar se us ki na 'irfan' juda kar us ko
khol ye band-e-wafa aur riha kar us ko
nazar aane lage apne hi KHad-o-KHal-e-zawal
aur dekha karo aaina bana kar us ko
aaKHir-e-shab hui aaghaz kahani apni
hum ne paya bhi to ek umr ganwa kar us ko
dekhte hain to lahu jaise ragen toDta hai
hum to mar jaenge sine se laga kar us ko
tere virane mein hona tha ujala na hua
kya mila ai dil-e-saffak jala kar us ko
aur hum DhunDte rah jaenge KHushbu ka suragh
abhi le jaegi ek mauj uDa kar us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.