dastan KHatm hai izhaar-e-wafa rahne do
dāstāñ ḳhatm hai iz.hār-e-vafā rahne do
ab mire vāste jiine kī duā rahne do
qurbateñ pyaar kī taqdīs ghaTā detī haiñ
pyaar ko lams kī jannat se judā rahne do
phir kisī zaḳhm ke khul jaa.eñ na Tāñke dekho
rahne do tazkira-e-rasm-e-vafā rahne do
reza-e-sang to aaya gul-e-manzar na sahī
kāsa-e-chashm ko hairat se khulā rahne do
ham ko tapte hue sahrā se guzarnā hai abhī
yaad kī chhāñv meñ kuchh der khaḌā rahne do
jāda-e-ishq kaThin hai ye samajh meñ aa jaa.e
ḳhaar ke saath ye patthar bhī paḌā rahne do
'shān' be-samt na kar de tumheñ sahrā-e-hayāt
zehn meñ un ke nuqūsh-e-kaf-e-pā rahne do
dastan KHatm hai izhaar-e-wafa rahne do
ab mere waste jine ki dua rahne do
qurbaten pyar ki taqdis ghaTa deti hain
pyar ko lams ki jannat se juda rahne do
phir kisi zaKHm ke khul jaen na Tanke dekho
rahne do tazkira-e-rasm-e-wafa rahne do
reza-e-sang to aaya gul-e-manzar na sahi
kasa-e-chashm ko hairat se khula rahne do
hum ko tapte hue sahra se guzarna hai abhi
yaad ki chhanw mein kuchh der khaDa rahne do
jada-e-ishq kaThin hai ye samajh mein aa jae
KHar ke sath ye patthar bhi paDa rahne do
'shan' be-samt na kar de tumhein sahra-e-hayat
zehn mein un ke nuqush-e-kaf-e-pa rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.