dafatan bichhDega wo bhi dil ko ye dhaDka na tha
daf.atan bichhḌegā vo bhī dil ko ye dhaḌkā na thā
jo mire hamrāh thā lekin mirā saaya na thā
soch kā tūfān shādābī bahā kar le gayā
aisā lagtā hai ki ye chehra kabhī merā na thā
mausam-e-gul meñ havā.eñ jaise pathrā.ī rahīñ
ḳhushbuoñ kā koī jhoñkā is taraf aayā na thā
yuuñ achānak jaag jaane kī mujhe aadat na thī
aur us ko bhī shikast-e-ḳhvāb kā ḳhadsha na thā
aaj tā-hadd-e-nazar be-kaif 'manzar' ho gayā
is tarah rañgoñ ko sūraj ne kabhī khāyā na thā
dafatan bichhDega wo bhi dil ko ye dhaDka na tha
jo mere hamrah tha lekin mera saya na tha
soch ka tufan shadabi baha kar le gaya
aisa lagta hai ki ye chehra kabhi mera na tha
mausam-e-gul mein hawaen jaise pathrai rahin
KHushbuon ka koi jhonka is taraf aaya na tha
yun achanak jag jaane ki mujhe aadat na thi
aur us ko bhi shikast-e-KHwab ka KHadsha na tha
aaj ta-hadd-e-nazar be-kaif 'manzar' ho gaya
is tarah rangon ko suraj ne kabhi khaya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.