dahakti KHwahishon mein jal raha hun
dahaktī ḳhvāhishoñ meñ jal rahā huuñ
kabhī qātil kabhī maqtal rahā huuñ
mirā pīchhā na kar ai zindagānī
maiñ rāh-e-raftagāñ pe chal rahā huuñ
maiñ aisā azhdahā huuñ ḳhvāhishoñ kā
ḳhud apnā ḳhuun pī kar pal rahā huuñ
rahā huuñ vāqif-e-rāz-e-haqīqat
ba-zāhir be-ḳhabar pāgal rahā huuñ
ridā-e-tishnagī oḌhe hue maiñ
samundar ke kināre chal rahā huuñ
gavāhī ke liye kaafī rahegā
maiñ apnā ḳhuun muñh pe mal rahā huuñ
koī bhūlā huā naġhma huuñ dil kā
vafā ke āñsuoñ meñ Dhal rahā huuñ
dahakti KHwahishon mein jal raha hun
kabhi qatil kabhi maqtal raha hun
mera pichha na kar ai zindagani
main rah-e-raftagan pe chal raha hun
main aisa azhdaha hun KHwahishon ka
KHud apna KHun pi kar pal raha hun
raha hun waqif-e-raaz-e-haqiqat
ba-zahir be-KHabar pagal raha hun
rida-e-tishnagi oDhe hue main
samundar ke kinare chal raha hun
gawahi ke liye kafi rahega
main apna KHun munh pe mal raha hun
koi bhula hua naghma hun dil ka
wafa ke aansuon mein Dhal raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.