dahr mein ek tere siwa kya hai
dahr meñ ik tire sivā kyā hai
tū nahīñ hai to phir bhalā kyā hai
sila-e-zauq mai-kashī ma.alūm
zarf kyā shai hai hausla kyā hai
hāshiye apne matn hai un kā
mohtasib phir sazā jazā kyā hai
pūchhtā huuñ har ek saa.e se
chāñdnī kā atā-patā kyā hai
un ko hai da.avā-e-asīhā.ī
jo nahīñ jānte shifā kyā hai
kis liye gardish-e-mudām meñ haiñ
āsmānoñ ko ye huā kyā hai
le uḌegī buland-parvāzī
dosto sāya-e-humā kyā hai
itnī ifrāt aisī mahrūmī
dene vaale mo.āmla kyā hai
sail-e-shām-o-sahar meñ bahte haiñ
kyā ḳhabar ziist kyā qazā kyā hai
ham hī chup ho ga.e 'tamannā.ī'
de rahā hai koī sadā kyā hai
dahr mein ek tere siwa kya hai
tu nahin hai to phir bhala kya hai
sila-e-zauq mai-kashi malum
zarf kya shai hai hausla kya hai
hashiye apne matn hai un ka
mohtasib phir saza jaza kya hai
puchhta hun har ek sae se
chandni ka ata-pata kya hai
un ko hai dawa-e-asihai
jo nahin jaante shifa kya hai
kis liye gardish-e-mudam mein hain
aasmanon ko ye hua kya hai
le uDegi buland-parwazi
dosto saya-e-huma kya hai
itni ifraat aisi mahrumi
dene wale moamla kya hai
sail-e-sham-o-sahar mein bahte hain
kya KHabar zist kya qaza kya hai
hum hi chup ho gae 'tamannai'
de raha hai koi sada kya hai
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 127)
- Author : Azeez Tammannai
- Publication : Azeez Tammannai (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.