dahshat ke mausam mein khilne wale phul
dahshat ke mausam meñ khilne vaale phuul
pattī pattī bikhre kaun sambhāle phuul
in hoñToñ ke lams meñ aisā jaadū hai
āñkhoñ par rakhte hī ho ga.e chhāle phuul
titlī terā rañg churāne aa.ī hai
ḳhush-rū titlī ke premī matvāle phuul
us kā rasta dekhne vaalī āñkhoñ meñ
tairte rahte haiñ kuchh mannat vaale phuul
maiñ ne vasl meñ hijr kī sargoshī sun lī
aur harī chādar par kāḌhe kaale phuul
us ne bhī rūmāl pe itr lagā bhejā
ham ne bhī sharmā kar kaan meñ Daale phuul
laal gulāb kā tohfa dene vaale sun
nahīñ haiñ tere lams se achchhe saale phuul
dahshat ke mausam mein khilne wale phul
patti patti bikhre kaun sambhaale phul
in honTon ke lams mein aisa jadu hai
aankhon par rakhte hi ho gae chhaale phul
titli tera rang churane aai hai
KHush-ru titli ke premi matwale phul
us ka rasta dekhne wali aankhon mein
tairte rahte hain kuchh mannat wale phul
main ne wasl mein hijr ki sargoshi sun li
aur hari chadar par kaDhe kale phul
us ne bhi rumal pe itr laga bheja
hum ne bhi sharma kar kan mein Dale phul
lal gulab ka tohfa dene wale sun
nahin hain tere lams se achchhe sale phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.