Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dair mein ya haram mein guzregi

Fani Badayuni

dair mein ya haram mein guzregi

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    dair meñ haram meñ guzregī

    umr tere ġham meñ guzregī

    kuchh umīd-e-karam meñ guzrī umr

    kuchh umīd-e-karam meñ guzregī

    zindagī yād-e-dost hai yaanī

    zindagī hai to ġham meñ guzregī

    ab karam ye mā-hasal hai ki umr

    yād-e-ahd-e-sitam meñ guzregī

    dil ko shauq-e-nashāt-e-vasl na chheḌ

    ġham meñ guzrī hai ġham meñ guzregī

    hasrat-e-dam-ba-dam meñ guzrī umr

    ibrat-e-dam-ba-dam meñ guzregī

    hashr kahte haiñ jis ko ai 'fānī'

    vo ghaḌī sharah-e-ġham meñ guzregī

    dair mein ya haram mein guzregi

    umr tere hi gham mein guzregi

    kuchh umid-e-karam mein guzri umr

    kuchh umid-e-karam mein guzregi

    zindagi yaad-e-dost hai yani

    zindagi hai to gham mein guzregi

    ab karam ka ye ma-hasal hai ki umr

    yaad-e-ahd-e-sitam mein guzregi

    dil ko shauq-e-nashat-e-wasl na chheD

    gham mein guzri hai gham mein guzregi

    hasrat-e-dam-ba-dam mein guzri umr

    ibrat-e-dam-ba-dam mein guzregi

    hashr kahte hain jis ko ai 'fani'

    wo ghaDi sharah-e-gham mein guzregi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now