dair-o-haram mein jalwa-e-jaanana ek hai
dair-o-haram mein jalwa-e-jaanana ek hai
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
dair-o-haram meñ jalva-e-jānāna ek hai
parda uThe to ka.aba-o-but-ḳhāna ek hai
ghar ho ki tuur jalva-e-jānāna ek hai
kahne kī baat sau haiñ par afsāna ek hai
armān dil meñ ḳhaak uḌāte haiñ saikḌoñ
majnūñ hazār phirte haiñ vīrāna ek hai
maiñ aap par fidā huuñ fidā aap ġhair par
merā aur aap kā to kuchh afsāna ek hai
kis naaz se vo kahte haiñ vahshat ke zikr par
'sho.ala' bhī apne Dhañg kā dīvāna ek hai
dair-o-haram mein jalwa-e-jaanana ek hai
parda uThe to kaba-o-but-KHana ek hai
ghar ho ki tur jalwa-e-jaanana ek hai
kahne ki baat sau hain par afsana ek hai
arman dil mein KHak uDate hain saikDon
majnun hazar phirte hain virana ek hai
main aap par fida hun fida aap ghair par
mera aur aap ka to kuchh afsana ek hai
kis naz se wo kahte hain wahshat ke zikr par
'shoala' bhi apne Dhang ka diwana ek hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 131)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.