dair-o-kaba ko rahguzar samjhe
dair-o-ka.aba ko rahguzar samjhe
dil ko jo koī terā ghar samjhe
ashk-e-ḳhūnīñ bahe to ham dil ko
hadaf-e-nāvak-e-nazar samjhe
nāla-e-ġhair ātish-afshāñ hai
shab-e-vaslat kī tum sahar samjhe
na uThā apne āstāñ se hameñ
ham to baiThe haiñ apnā ghar samjhe
naama de kar nazāra hai manzūr
ham taqāzā-e-nāma-bar samjhe
ġhair se pūchhte haiñ kūcha-e-yār
aise rahzan ko rāhbar samjhe
vo sitam karne aa.e haiñ ījād
aur ham aah kā asar samjhe
sarf karnā hai unsur-e-ābī
ham tirā girya chashm-e-tar samjhe
us se kyā mudda.ā kahūñ 'sālik'
sulh kī baat ko jo shar samjhe
dair-o-kaba ko rahguzar samjhe
dil ko jo koi tera ghar samjhe
ashk-e-KHunin bahe to hum dil ko
hadaf-e-nawak-e-nazar samjhe
nala-e-ghair aatish-afshan hai
shab-e-waslat ki tum sahar samjhe
na uTha apne aastan se hamein
hum to baiThe hain apna ghar samjhe
nama de kar nazara hai manzur
hum taqaza-e-nama-bar samjhe
ghair se puchhte hain kucha-e-yar
aise rahzan ko rahbar samjhe
wo sitam karne aae hain ijad
aur hum aah ka asar samjhe
sarf karna hai unsur-e-abi
hum tera girya chashm-e-tar samjhe
us se kya muddaa kahun 'salik'
sulh ki baat ko jo shar samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.