Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat ghusse ke shole sun jalte kun jalati ja

Wali Mohammad Wali

mat ghusse ke shole sun jalte kun jalati ja

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    mat ġhusse ke sho'le suuñ jalte kuuñ jalātī

    Tuk mehr ke paanī suuñ aag bujhātī

    tujh chaal qīmat suuñ dil na.iñ hai mirā vāqif

    ai maan bharī chanchal Tuk bhaav batātī

    is raat añdhārī meñ mat bhuul paḌūñ tujh suuñ

    Tuk paañv ke jhāñjhar jhankār sunātī

    mujh dil ke kabūtar kuuñ bāñdhā hai tirī laT ne

    ye kaam dharam hai Tuk is ko chhuḌātī

    tujh mukh parastish meñ ga.ī 'umr mirī saarī

    ai but pujan-hārī Tuk is ko pujātī

    tujh 'ishq meñ jal-jal kar sab tan kuuñ kiyā kājal

    ye raushnī-afzā hai añkhiyāñ ko lagātī

    tujh neh meñ dil jal-jal jogī liyā sūrat

    yak-bār ise mohan chhātī suuñ lagātī

    tujh ghar taraf sundar aatā hai 'valī' daa.im

    mushtāq daras hai Tuk dars dikhātī

    mat ghusse ke sho'le sun jalte kun jalati ja

    Tuk mehr ke pani sun tu aag bujhati ja

    tujh chaal ki qimat sun dil nain hai mera waqif

    ai man bhari chanchal Tuk bhaw batati ja

    is raat andhaari mein mat bhul paDun tujh sun

    Tuk panw ke jhanjhar ki jhankar sunati ja

    mujh dil ke kabutar kun bandha hai teri laT ne

    ye kaam dharam ka hai Tuk is ko chhuDati ja

    tujh mukh ki parastish mein gai 'umr meri sari

    ai but ki pujan-haari Tuk is ko pujati ja

    tujh 'ishq mein jal-jal kar sab tan kun kiya kajal

    ye raushni-afza hai ankhiyan ko lagati ja

    tujh neh mein dil jal-jal jogi ki liya surat

    yak-bar ise mohan chhati sun lagati ja

    tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'wali' daim

    mushtaq daras ka hai Tuk dars dikhati ja

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now