dam bhar ki KHushi bais-e-azar bhi hogi
dam bhar kī ḳhushī bā.is-e-āzār bhī hogī
is raah meñ saaya hai to dīvār bhī hogī
sadiyoñ se jahāñ jis ke ta'āqub meñ ravāñ hai
vo sā.at-e-sad-rañg giraftār bhī hogī
rangoñ kī ridā oḌh ke is reg-e-ravāñ par
utrī hai jo shab vo shab-e-dīdār bhī hogī
kahtā hai mire kaan meñ ḳhushbū kā payāmī
muñh-band kalī mā.il-e-guftār bhī hogī
saa.e se lipaT jā.eñge qadmoñ se ba-har-gām
rusvā.ī kuchh apnī sar-e-bāzār bhī hogī
ai shab na kaTegī tire siine kī siyāhī
ik shoḳh kiran muft gunahgār bhī hogī
sunte haiñ ki har sub.h ke hāthoñ meñ 'rashīd' ab
ik zahr meñ Duubī huī talvār bhī hogī
dam bhar ki KHushi bais-e-azar bhi hogi
is rah mein saya hai to diwar bhi hogi
sadiyon se jahan jis ke ta'aqub mein rawan hai
wo saat-e-sad-rang giraftar bhi hogi
rangon ki rida oDh ke is reg-e-rawan par
utri hai jo shab wo shab-e-didar bhi hogi
kahta hai mere kan mein KHushbu ka payami
munh-band kali mail-e-guftar bhi hogi
sae se lipaT jaenge qadmon se ba-har-gam
ruswai kuchh apni sar-e-bazar bhi hogi
ai shab na kaTegi tere sine ki siyahi
ek shoKH kiran muft gunahgar bhi hogi
sunte hain ki har subh ke hathon mein 'rashid' ab
ek zahr mein Dubi hui talwar bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.