dam-e-aKHir kisi ka shikwa-e-bedad karte hain
dam-e-āḳhir kisī kā shikva-e-bedād karte haiñ
nahīñ haiñ hichkiyāñ rah rah ke ham fariyād karte haiñ
rihā ho kar ham itnī ḳhātir-e-sayyād karte haiñ
nasheman raat ko din ko qafas ābād karte haiñ
fuġhāñ sun kar mirī vo naaz se irshād karte haiñ
kahāñ tū mar rahī ai maut tujh ko yaad karte haiñ
buḌhāpe meñ tujhe ham ai javānī yaad karte haiñ
ab apnī umr āḳhir is tarah barbād karte haiñ
ajab andāz se kahtī haiñ dil kī hasrateñ mujh se
hameñ ghar se nikāleñ ghar vo kyuuñ barbād karte haiñ
na āñkhoñ meñ kabhī aañsū na hoñThoñ par kabhī naale
na ham qismat ko rote haiñ na ham fariyād karte haiñ
gale meñ kyuuñ rag-e-jāñ ban ke ḳhanjar rah gayā terā
kahīñ bismil se aisī shoḳhiyāñ jallād karte haiñ
ye kyuuñ hai dushmanoñ ko dostoñ ko justujū us kī
vo mujh par rahm farmāte haiñ yā bedād karte haiñ
girānā hai hameñ kuchh bijliyāñ sayyād ke ghar par
asar-ḳhez ik na.ī tarz-e-fuġhāñ ījād karte haiñ
dil-e-muztar kī tasvīreñ bharī haiñ kyā muraqqe meñ
kuchh ustādī bhī is meñ mānī-o-bahzād karte haiñ
hamāre saath hai sayyād bhī yārab musībat meñ
kalejā muñh ko aatā hai jo ham fariyād karte haiñ
likhā kis husn se ḳhat meñ ki ham tujh se kashīda haiñ
kashish harfoñ kī aisī hai ki ham bhī saad karte haiñ
uThūñgā yūñhī mahshar meñ liye maiñ un ke ḳhanjar ko
gale mere lagāte haiñ ye kyā jallād karte haiñ
kahāñ vo haiñ kahāñ ham haiñ paḌā hai tafraqa yārab
vo ham ko yaad karte haiñ ham un ko yaad karte haiñ
mirī sūrat jo dekhī ham-nashīñ se hañs ke farmāyā
yahī kohsār par ab mātam-e-farhād karte haiñ
kabhī thoḌī sī pī lī lab nahīñ us kī bhī kuchh parvā
alag goshe meñ baiThe haiñ ḳhudā ko yaad karte haiñ
mujhe dekhā to bole mere kūche se nikal jaa.eñ
ye dil meñ chuTkiyāñ lete haiñ yā fariyād karte haiñ
buzurgī hai ki marte haiñ butān-e-shoḳh par ab bhī
'riyāz' is umr meñ kyuuñ āqibat barbād karte haiñ
dam-e-aKHir kisi ka shikwa-e-bedad karte hain
nahin hain hichkiyan rah rah ke hum fariyaad karte hain
riha ho kar hum itni KHatir-e-sayyaad karte hain
nasheman raat ko din ko qafas aabaad karte hain
fughan sun kar meri wo naz se irshad karte hain
kahan tu mar rahi ai maut tujh ko yaad karte hain
buDhape mein tujhe hum ai jawani yaad karte hain
ab apni umr aaKHir is tarah barbaad karte hain
ajab andaz se kahti hain dil ki hasraten mujh se
hamein ghar se nikalen ghar wo kyun barbaad karte hain
na aankhon mein kabhi aansu na honThon par kabhi nale
na hum qismat ko rote hain na hum fariyaad karte hain
gale mein kyun rag-e-jaan ban ke KHanjar rah gaya tera
kahin bismil se aisi shoKHiyan jallad karte hain
ye kyun hai dushmanon ko doston ko justuju us ki
wo mujh par rahm farmate hain ya bedad karte hain
girana hai hamein kuchh bijliyan sayyaad ke ghar par
asar-KHez ek nai tarz-e-fughan ijad karte hain
dil-e-muztar ki taswiren bhari hain kya muraqqe mein
kuchh ustadi bhi is mein mani-o-bahzad karte hain
hamare sath hai sayyaad bhi yarab musibat mein
kaleja munh ko aata hai jo hum fariyaad karte hain
likha kis husn se KHat mein ki hum tujh se kashida hain
kashish harfon ki aisi hai ki hum bhi sad karte hain
uThunga yunhi mahshar mein liye main un ke KHanjar ko
gale mere lagate hain ye kya jallad karte hain
kahan wo hain kahan hum hain paDa hai tafraqa yarab
wo hum ko yaad karte hain hum un ko yaad karte hain
meri surat jo dekhi ham-nashin se hans ke farmaya
yahi kohsar par ab matam-e-farhad karte hain
kabhi thoDi si pi li lab nahin us ki bhi kuchh parwa
alag goshe mein baiThe hain KHuda ko yaad karte hain
mujhe dekha to bole mere kuche se nikal jaen
ye dil mein chuTkiyan lete hain ya fariyaad karte hain
buzurgi hai ki marte hain butan-e-shoKH par ab bhi
'riyaz' is umr mein kyun aaqibat barbaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.