dam-e-isa yad-e-baiza ke qarine wale
dam-e-īsā yad-e-baizā ke qarīne vaale
ab na mansūr na suqrāt se piine vaale
vahī kuufī vahī lashkar vahī paimān-e-vafā
vahī āsār moharram ke mahīne vaale
dam nikaltā hai na sar jhuktā hai dīvānoñ kā
jaane kis aas pe jiite haiñ ye jiine vaale
ye jo sāhil ke manāzir haiñ jo āvāzeñ haiñ
jā ke us paar na pā.eñge safīne vaale
ham mohabbat kī alāmat haiñ janāb-e-vā.iz
ham adāvat ke talabgār na kiine vaale
ek paiġhām ho shāyad mirī ḳhāmoshī bhī
tujh ko ma.alūm nahīñ lab mire siine vaale
aaj kuchh log haiñ sūrat-gar-e-hālāt 'aḳhtar'
aur kuchh log haiñ maazī ke dafīne vaale
in ko thoḌī sī uḳhuvvat bhī atā ho jaa.e
ye jo lete haiñ tirā naam madīne vaale
dam-e-isa yad-e-baiza ke qarine wale
ab na mansur na suqraat se pine wale
wahi kufi wahi lashkar wahi paiman-e-wafa
wahi aasar moharram ke mahine wale
dam nikalta hai na sar jhukta hai diwanon ka
jaane kis aas pe jite hain ye jine wale
ye jo sahil ke manazir hain jo aawazen hain
ja ke us par na paenge safine wale
hum mohabbat ki alamat hain janab-e-waiz
hum adawat ke talabgar na kine wale
ek paigham ho shayad meri KHamoshi bhi
tujh ko malum nahin lab mere sine wale
aaj kuchh log hain surat-gar-e-haalat 'aKHtar'
aur kuchh log hain mazi ke dafine wale
in ko thoDi si uKHuwwat bhi ata ho jae
ye jo lete hain tera nam madine wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.