Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz

Mirza Asman Jah Anjum

dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz

Mirza Asman Jah Anjum

MORE BYMirza Asman Jah Anjum

    dam-e-ruḳhsat jo un se kah ke maiñ uTThā ḳhudā-hāfiz

    lage jhuñjhlā ke vo kahne bahut achchhā ḳhudā-hāfiz

    jo maiñ jaatā huuñ uTh kar fī-amānillāh kahtā huuñ

    tire muñh se na o kāfir kabhī niklā ḳhudā-hāfiz

    kahā hai kis ne tum se chūmo-chāTo ke patthar ko

    tumhāre zāhido ab den o īmāñ ḳhudā hāfiz

    hifāzat meñ vo dekhe ġhair tujh ko qayāmat hai

    kabhī jo bad-gumānī se na ho kahtā ḳhudā-hāfiz

    sunā hai aaj vo but ḳhuub ban-Than ke aatā hai

    tire dil are o 'anjum'-e-shaidā ḳhudā hāfiz

    dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz

    lage jhunjhla ke wo kahne bahut achchha KHuda-hafiz

    jo main jata hun uTh kar fi-amanillah kahta hun

    tere munh se na o kafir kabhi nikla KHuda-hafiz

    kaha hai kis ne tum se chumo-chaTo ja ke patthar ko

    tumhaare zahido ab den o iman ka KHuda hafiz

    hifazat mein wo dekhe ghair ki tujh ko qayamat hai

    kabhi jo bad-gumani se na ho kahta KHuda-hafiz

    suna hai aaj wo but KHub hi ban-Than ke aata hai

    tere dil ka are o 'anjum'-e-shaida KHuda hafiz

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now