dam-e-subh aandhiyon ne jinhen rakh diya masal ke
dam-e-subh aandhiyon ne jinhen rakh diya masal ke
Basir Sultan Kazmi
MORE BYBasir Sultan Kazmi
dam-e-sub.h āñdhiyoñ ne jinheñ rakh diyā masal ke
vahī nanhe nanhe paude the ghane daraḳht kal ke
na.e sāthiyoñ kī dhun meñ tirī dostī ko chhoḌā
koī tujh sā bhī na paayā tire shahr se nikal ke
vahī rasm-e-kam-nigāhī vahī raat kī siyāhī
mire shahr ke charāġho yahāñ kyā karoge jal ke
na.e ḳhvāb merī manzil tah-e-āb merā sāhil
tumheñ kyā milegā yaaro mire saath saath chal ke
sar-e-shām aaj koī mire dil se kah rahā hai
koī chāñd bhī to nikle koī jaam bhī to chhalke
ye jo ghar luTā luTā hai ye jo dil bujhā bujhā hai
isī dil meñ rah ga.e haiñ ka.ī āftāb Dhal ke
ye mushāhida hai merā rah-e-zindagī meñ 'bāsir'
vahī muñh ke bal girā hai jo chalā sañbhal sañbhal ke
dam-e-subh aandhiyon ne jinhen rakh diya masal ke
wahi nanhe nanhe paude the ghane daraKHt kal ke
nae sathiyon ki dhun mein teri dosti ko chhoDa
koi tujh sa bhi na paya tere shahr se nikal ke
wahi rasm-e-kam-nigahi wahi raat ki siyahi
mere shahr ke charagho yahan kya karoge jal ke
nae KHwab meri manzil tah-e-ab mera sahil
tumhein kya milega yaro mere sath sath chal ke
sar-e-sham aaj koi mere dil se kah raha hai
koi chand bhi to nikle koi jam bhi to chhalke
ye jo ghar luTa luTa hai ye jo dil bujha bujha hai
isi dil mein rah gae hain kai aaftab Dhal ke
ye mushahida hai mera rah-e-zindagi mein 'basir'
wahi munh ke bal gira hai jo chala sanbhal sanbhal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.