dam-e-yar ta-naza bhar lijiye
dam-e-yār tā-naza.a bhar lījiye
'saḳhī' zindagī tak to mar lījiye
diyā dil to kahne lage pheñk kar
kaleje meñ apne ye dhar lījiye
mirī lāġharī par to hañste haiñ aap
kamar kī to apnī ḳhabar lījiye
ajal aa.e pīchhā chhuTte shahr kā
kahīñ chal ke jañgal meñ ghar lījiye
'saḳhī' hijr-e-jānāñ meñ khānā kahāñ
ġham-o-dard se peT bhar lījiye
dam-e-yar ta-naza bhar lijiye
'saKHi' zindagi tak to mar lijiye
diya dil to kahne lage phenk kar
kaleje mein apne ye dhar lijiye
meri laghari par to hanste hain aap
kamar ki to apni KHabar lijiye
ajal aae pichha chhuTte shahr ka
kahin chal ke jangal mein ghar lijiye
'saKHi' hijr-e-jaanan mein khana kahan
gham-o-dard se peT bhar lijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.