dam toDta hun KHak pe gor-o-kafan se dur
dam toḌtā huuñ ḳhaak pe gor-o-kafan se duur
yā-rab kisī kī maut na aa.e vatan se duur
ahl-e-chaman kā sheva-e-begānagī na pūchh
ham to chaman meñ rahte hue haiñ chaman se duur
āh-e-dil-e-ġharīb qayāmat se kam nahīñ
ik baat kah rahā huuñ kisī husn-e-zan se duur
dil se hai be-niyāz umīdoñ kī raushnī
jalte haiñ ye charāġh magar anjuman se duur
is daur meñ bhī haq ke parastār kam nahīñ
ye aur baat hai ki haiñ dār-o-rasan se duur
aao qafas meñ baiTh ke ro.eñ bahār ko
tum bhī chaman se duur ho ham bhī chaman se duur
'raunaq' junūn-e-shauq kā 'ālam bhī ḳhuub hai
ḳhushiyoñ se be-niyāz huuñ ranj-o-mehan se duur
dam toDta hun KHak pe gor-o-kafan se dur
ya-rab kisi ki maut na aae watan se dur
ahl-e-chaman ka shewa-e-beganagi na puchh
hum to chaman mein rahte hue hain chaman se dur
aah-e-dil-e-gharib qayamat se kam nahin
ek baat kah raha hun kisi husn-e-zan se dur
dil se hai be-niyaz umidon ki raushni
jalte hain ye charagh magar anjuman se dur
is daur mein bhi haq ke parastar kam nahin
ye aur baat hai ki hain dar-o-rasan se dur
aao qafas mein baiTh ke roen bahaar ko
tum bhi chaman se dur ho hum bhi chaman se dur
'raunaq' junun-e-shauq ka 'alam bhi KHub hai
KHushiyon se be-niyaz hun ranj-o-mehan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.