dar-ba-dar ho ke dar se TuT gaya
dar-ba-dar ho ke dar se TuuT gayā
maiñ to jaise safar se TuuT gayā
Dhal ga.ī shaam ab kahāñ jā.ūñ
jo ta'alluq thā ghar se TuuT gayā
kuchh ḳhabar bhī hai in havāoñ ko
zard paTTā shajar se TuuT gayā
koī had bhī to ho bikharne kī
ḳhvāb dekhā to Dar se TuuT gayā
tum ne nāhaq uThā liye patthar
aa.ina to nazar se TuuT gayā
ahd ye thā ki saath chalnā hai
phir bashar hī bashar se TuuT gayā
dar-ba-dar ho ke dar se TuT gaya
main to jaise safar se TuT gaya
Dhal gai sham ab kahan jaun
jo ta'alluq tha ghar se TuT gaya
kuchh KHabar bhi hai in hawaon ko
zard paTTa shajar se TuT gaya
koi had bhi to ho bikharne ki
KHwab dekha to Dar se TuT gaya
tum ne nahaq uTha liye patthar
aaina to nazar se TuT gaya
ahd ye tha ki sath chalna hai
phir bashar hi bashar se TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.