dar-ba-dar ki KHak peshani pe mal kar aaega
dar-ba-dar kī ḳhaak peshānī pe mal kar aa.egā
ghūm-phir kar rāsta phir mere hī ghar aa.egā
sāmne āñkhoñ ke phir yaḳh-basta manzar aa.egā
dhuup jam jā.egī āñgan meñ december aa.egā
shor kaisā apnī aahaT bhī na sun pāoge tum
is safar meñ aisā sannāTā to aksar aa.egā
jis kī ḳhātir shīsha-e-āvāz raushan hai bahut
us kī jānib se bhī ḳhāmoshī kā patthar aa.egā
sehn-e-dil meñ kab se tanhā.ī ke ḳheme nasb haiñ
ab na shāyad mausam-e-hañgāma-parvar aa.egā
zindagī bhar ham isī ummīd par chalte rahe
ab ke sahrā paar kar leñ to samundar aa.egā
munhadim ho jā.egī 'aḳhtar' fasīl-e-intishār
jab navāh-e-jāñ meñ vīrānī kā lashkar aa.egā
dar-ba-dar ki KHak peshani pe mal kar aaega
ghum-phir kar rasta phir mere hi ghar aaega
samne aankhon ke phir yaKH-basta manzar aaega
dhup jam jaegi aangan mein december aaega
shor kaisa apni aahaT bhi na sun paoge tum
is safar mein aisa sannaTa to aksar aaega
jis ki KHatir shisha-e-awaz raushan hai bahut
us ki jaanib se bhi KHamoshi ka patthar aaega
sehn-e-dil mein kab se tanhai ke KHeme nasb hain
ab na shayad mausam-e-hangama-parwar aaega
zindagi bhar hum isi ummid par chalte rahe
ab ke sahra par kar len to samundar aaega
munhadim ho jaegi 'aKHtar' fasil-e-intishaar
jab nawah-e-jaan mein virani ka lashkar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.