dar dar phire hain aap liye chashm-tar janab
dar dar phire haiñ aap liye chashm-tar janāb
batlā.īye kisī pe huā kuchh asar janāb
ab mūñdiye bhī aañkh ki nazāra kar chuke
kab kāmyāb-e-zīst hue dīda-var janāb
ik sa.ī-e-rā.egāñ hai shuāoñ ko thāmnā
tārīkiyāñ haiñ un se kujā mo'atabar janāb
uThiye qimār-ḳhāna-e-hosh-o-havās se
kyā ho rahe haiñ kījiye ḳhud par nazar janāb
chaliye bhī ab ki shaam huī mai-kadā chaleñ
kyā kījiyegā rakh ke kisī kī ḳhabar janāb
dar dar phire hain aap liye chashm-tar janab
batlaiye kisi pe hua kuchh asar janab
ab mundiye bhi aankh ki nazara kar chuke
kab kaamyab-e-zist hue dida-war janab
ek sai-e-raegan hai shuaon ko thamna
tarikiyan hain un se kuja mo'atabar janab
uThiye qimar-KHana-e-hosh-o-hawas se
kya ho rahe hain kijiye KHud par nazar janab
chaliye bhi ab ki sham hui mai-kada chalen
kya kijiyega rakh ke kisi ki KHabar janab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.