Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen

Abhishek Shukla

dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen

Abhishek Shukla

MORE BYAbhishek Shukla

    dar-e-ḳhayāl bhī kholeñ siyāh shab bhī kareñ

    phir us ke ba.ad tujhe socheñ ye ġhazab bhī kareñ

    vo jis ne shaam ke māthe pe haath pherā hai

    ham us charāġh-e-havā-sāz adab bhī kareñ

    siyāhiyāñ bikharne lagī haiñ siine meñ

    ab us sitāra-e-shab-tāb talab bhī kareñ

    ye imtiyāz zarūrī hai ab ibādat meñ

    vahī duā jo nazar kar rahī hai lab bhī kareñ

    ki jaise ḳhvāb dikhānā tasalliyāñ denā

    kuchh ek kaam mohabbat meñ be-sabab bhī kareñ

    maiñ jāntā huuñ ki tābīr nahīñ mumkin

    vo mere ḳhvāb tashrīh chāhe jab bhī kareñ

    shikast-e-ḳhvāb manzil bhī kab na.ī hai hameñ

    vahī jo karte chale aa.eñ haiñ so ab bhī kareñ

    dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen

    phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen

    wo jis ne sham ke mathe pe hath phera hai

    hum us charagh-e-hawa-saz ka adab bhi karen

    siyahiyan si bikharne lagi hain sine mein

    ab us sitara-e-shab-tab ki talab bhi karen

    ye imtiyaz zaruri hai ab ibaadat mein

    wahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen

    ki jaise KHwab dikhana tasalliyan dena

    kuchh ek kaam mohabbat mein be-sabab bhi karen

    main jaanta hun ki tabir hi nahin mumkin

    wo mere KHwab ki tashrih chahe jab bhi karen

    shikast-e-KHwab ki manzil bhi kab nai hai hamein

    wahi jo karte chale aaen hain so ab bhi karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now