dar-e-KHazina-e-sad-raaz kholta hai koi
dar-e-ḳhazīna-e-sad-rāz kholtā hai koī
na jaane kaun hai vo mujh meñ boltā hai koī
ajab kured ajab bekalī sī hai jaise
mujhe mirī rag-e-jāñ tak TaToltā hai koī
hujūm hai mire siine meñ abr-pāroñ kā
guhar bikherne vaalā huuñ roltā hai koī
hayāt-o-marg-o-tulū-o-ġhurūb hai duniyā
ki par sameTtā hai koī toltā hai koī
havā kā lams ye būñdeñ ḳhunuk ḳhunuk 'ḳhurshīd'
mujhe to aaj fazāoñ meñ gholtā hai koī
dar-e-KHazina-e-sad-raaz kholta hai koi
na jaane kaun hai wo mujh mein bolta hai koi
ajab kured ajab bekali si hai jaise
mujhe meri rag-e-jaan tak TaTolta hai koi
hujum hai mere sine mein abr-paron ka
guhar bikherne wala hun rolta hai koi
hayat-o-marg-o-tulu-o-ghurub hai duniya
ki par sameTta hai koi tolta hai koi
hawa ka lams ye bunden KHunuk KHunuk 'KHurshid'
mujhe to aaj fazaon mein gholta hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.