dar kaun kare paida sangin chaTanon mein
dar kaun kare paidā sangīn chaTānoñ meñ
vo ḳhuun na vo garmī millat ke javānoñ meñ
dīvānoñ kī duniyā hai patthar kā zamāna hai
be-fikr na baiTho tum shīshe ke makānoñ meñ
ai tā.ir-e-be-parva bedārī-o-āgāhī
haiñ daam bhī poshīda bikhre hue dānoñ meñ
is daur-e-bahārāñ se behtar thī ḳhizāñ yaaro
kāñTe nazar aate haiñ phūloñ kī zabānoñ meñ
kyā baat hai ai 'mājid' vo kaif nahīñ baaqī
nāqūs-e-barahman meñ mullā kī azānoñ meñ
dar kaun kare paida sangin chaTanon mein
wo KHun na wo garmi millat ke jawanon mein
diwanon ki duniya hai patthar ka zamana hai
be-fikr na baiTho tum shishe ke makanon mein
ai tair-e-be-parwa bedari-o-agahi
hain dam bhi poshida bikhre hue danon mein
is daur-e-bahaaran se behtar thi KHizan yaro
kanTe nazar aate hain phulon ki zabanon mein
kya baat hai ai 'majid' wo kaif nahin baqi
naqus-e-barahman mein mulla ki azanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.