dar khol ke dekhun zara idrak se bahar
dar khol ke dekhūñ zarā idrāk se bāhar
ye shor sā kaisā hai mirī ḳhaak se bāhar
rūdād-e-guzishta to sunī kūza-garī kī
fardā kā bhī kar zikr jo hai chaak se bāhar
ḳhush aayā ajab ishq ko ye jāma-e-zebā
niklā nahīñ phir hijr kī poshāk se bāhar
chāhā thā mafar dil ne magar zulf-e-girah-gīr
pechāk banātī rahī pechāk se bāhar
aatā nahīñ kuchh yaad ki ai sā.at-e-nisyāñ
kyā rakkhā tire taaq pe kyā taaq se bāhar
suntā huuñ kahīñ duur se naqqārā sabā kā
utrī hai bahār ab ke bhī ḳhāshāk se bāhar
kuchh der Thahar aur zarā dekh tamāshā
nāpaid haiñ ye raunaqeñ is ḳhaak se bāhar
maujūd ḳhalā meñ haiñ agar aur zamīneñ
aflāk bhī hoñge kahīñ aflāk se bāhar
dar khol ke dekhun zara idrak se bahar
ye shor sa kaisa hai meri KHak se bahar
rudad-e-guzishta to suni kuza-gari ki
farda ka bhi kar zikr jo hai chaak se bahar
KHush aaya ajab ishq ko ye jama-e-zeba
nikla nahin phir hijr ki poshak se bahar
chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir
pechaak banati rahi pechaak se bahar
aata nahin kuchh yaad ki ai saat-e-nisyan
kya rakkha tere taq pe kya taq se bahar
sunta hun kahin dur se naqqara saba ka
utri hai bahaar ab ke bhi KHashak se bahar
kuchh der Thahar aur zara dekh tamasha
napaid hain ye raunaqen is KHak se bahar
maujud KHala mein hain agar aur zaminen
aflak bhi honge kahin aflak se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.