dar khol ke mat jhankna hamdam mere andar
dar khol ke mat jhāñknā hamdam mire andar
uTh jaatā hai aahaT pe bhī mātam mire andar
gūñje haiñ abhī tak kisī maqtūl kī chīḳheñ
qaa.em hai abhī ḳhauf kā aalam mire andar
maiñ zad meñ fasādoñ kī ik aaya huā ghar huuñ
har chiiz hai ab darham-o-barham mire andar
ab koī ḳhushī mujh meñ panaptī hī nahīñ hai
aaseb kī sūrat hai tirā ġham mire andar
maiñ hijr kā maarā huuñ so hotā hai har ik shaam
sūraj kī judā.ī pe bhī mātam mire andar
dar khol ke mat jhankna hamdam mere andar
uTh jata hai aahaT pe bhi matam mere andar
gunje hain abhi tak kisi maqtul ki chiKHen
qaem hai abhi KHauf ka aalam mere andar
main zad mein fasadon ki ek aaya hua ghar hun
har chiz hai ab darham-o-barham mere andar
ab koi KHushi mujh mein panapti hi nahin hai
aaseb ki surat hai tera gham mere andar
main hijr ka mara hun so hota hai har ek sham
suraj ki judai pe bhi matam mere andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.