dar kisi ka khula nahin lagta
dar kisī kā khulā nahīñ lagtā
shahr ye āshnā nahīñ lagtā
ġham hai fikr-e-ma.āsh meñ aisā
aadmī kā patā nahīñ lagtā
dost jab se hue hamāre tum
koī dushman burā nahīñ lagtā
yuuñ to milte haiñ TuuT kar lekin
rabt vo der-pā nahīñ lagtā
va.ada hūroñ kā ba.ad marne ke
bandagī kā silā nahīñ lagtā
dar kisi ka khula nahin lagta
shahr ye aashna nahin lagta
gham hai fikr-e-maash mein aisa
aadmi ka pata nahin lagta
dost jab se hue hamare tum
koi dushman bura nahin lagta
yun to milte hain TuT kar lekin
rabt wo der-pa nahin lagta
wada huron ka baad marne ke
bandagi ka sila nahin lagta
- Book : Simati Dhoop (Pg. 102)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.