Dar kyon jate hain ye Darne wale log
Dar kyoñ jaate haiñ ye Darne vaale log
marne se pahle hī marne vaale log
umr ke kitne pyāre saal bachāte haiñ
pyaar mohabbat ishq na karne vaale log
log vo kitnī chain kī nīndeñ sote haiñ
va.ada kar ke jald mukarne vaale log
ik din saarī dhartī ko khā jā.eñge
ghaas ke pīchhe miTTī charne vaale log
jiite jī kyoñ itnā shor machāte the
qabroñ meñ sannāTā bharne vaale log
dekheñ nasīhat kyā vo ham ko paḌhāte haiñ
vaise nahīñ haiñ ham to sudharne vaale log
tairne kī ummīdoñ meñ tum mat Duubo
Duub ga.e haiñ saare tairne vaale log
lab se lagā kar mai kī pyaas bujhāte haiñ
peḌ ke sar par chhātā dharne vaale log
raaz bulandī ke duniyā se chhupāte haiñ
sīḌhī se chup-chāp utarne vaale log
aaj 'alaḳh' ko kyoñ imkān meñ DhūñDte ho
ḳhaak se kyā ubhreñge ubharne vaale log
Dar kyon jate hain ye Darne wale log
marne se pahle hi marne wale log
umr ke kitne pyare sal bachate hain
pyar mohabbat ishq na karne wale log
log wo kitni chain ki ninden sote hain
wada kar ke jald mukarne wale log
ek din sari dharti ko kha jaenge
ghas ke pichhe miTTi charne wale log
jite ji kyon itna shor machate the
qabron mein sannaTa bharne wale log
dekhen nasihat kya wo hum ko paDhate hain
waise nahin hain hum to sudharne wale log
tairne ki ummidon mein tum mat Dubo
Dub gae hain sare tairne wale log
lab se laga kar mai ki pyas bujhate hain
peD ke sar par chhata dharne wale log
raaz bulandi ke duniya se chhupate hain
siDhi se chup-chap utarne wale log
aaj 'alaKH' ko kyon imkan mein DhunDte ho
KHak se kya ubhrenge ubharne wale log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.