dar-o-bast-e-anasir para para hone wala hai
dar-o-bast-e-anāsir paara paara hone vaalā hai
jo pahle ho chukā hai phir dobāra hone vaalā hai
gumān-e-mahr meñ ye baat hī shāyad nahīñ hogī
huvaidā ḳhaak se bhī ik sharāra hone vaalā hai
kināra kar na ai duniyā mirī hast-e-zabūnī se
koī din meñ mirā raushan sitāra hone vaalā hai
pighalne jā rahā hai phir se bahr-e-munjamid koī
samundar hī samundar kā kināra hone vaalā hai
bahut maḳhfī jise rakkhā gayā thā chashm-e-imkāñ se
abhī kuchh din meñ us kā bhī nazāra hone vaalā hai
hamīñ haiñ us kī nīñdeñ aur hamīñ us ke nigahbāñ haiñ
hamāre ḳhvāb par kis kā ijāra hone vaalā hai
vahī 'tāriq'-na.īm ab is qafas ke baab kholegā
kisī kī aañkh se jo ik ishāra hone vaalā hai
dar-o-bast-e-anasir para para hone wala hai
jo pahle ho chuka hai phir dobara hone wala hai
guman-e-mahr mein ye baat hi shayad nahin hogi
huwaida KHak se bhi ek sharara hone wala hai
kinara kar na ai duniya meri hast-e-zabuni se
koi din mein mera raushan sitara hone wala hai
pighalne ja raha hai phir se bahr-e-munjamid koi
samundar hi samundar ka kinara hone wala hai
bahut maKHfi jise rakkha gaya tha chashm-e-imkan se
abhi kuchh din mein us ka bhi nazara hone wala hai
hamin hain us ki ninden aur hamin us ke nigahban hain
hamare KHwab par kis ka ijara hone wala hai
wahi 'tariq'-naim ab is qafas ke bab kholega
kisi ki aankh se jo ek ishaara hone wala hai
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 151)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.