dar-o-diwar bhi dete hain hawala mera
dar-o-dīvār bhī dete haiñ havāla merā
kaise mumkin huā is shahr meñ charchā merā
tum agar jaan ga.e ho to laboñ ko sī lo
yahī ḳhāmosh-mohabbat hai asāsa merā
ḳhauf aatā hai tujhe dasht kī vīrānī se
ai sabā tū ne abhī ghar nahīñ dekhā merā
din nikalte hī chalā aa.egā vo paas mire
raat se milne gayā hai abhī saaya merā
koī tāqat hai kahīñ jo nahīñ hone detī
TūTtā rahtā hai har roz irāda merā
dar-o-diwar bhi dete hain hawala mera
kaise mumkin hua is shahr mein charcha mera
tum agar jaan gae ho to labon ko si lo
yahi KHamosh-mohabbat hai asasa mera
KHauf aata hai tujhe dasht ki virani se
ai saba tu ne abhi ghar nahin dekha mera
din nikalte hi chala aaega wo pas mere
raat se milne gaya hai abhi saya mera
koi taqat hai kahin jo nahin hone deti
TuTta rahta hai har roz irada mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.