dar-o-diwar ka badla hua huliya likhen
dar-o-dīvār kā badlā huā huliya likheñ
is havelī kā koī dūsrā naqsha likheñ
na kanīzoñ kā vo jhurmuT na bahī-ḳhvāhoñ kā
dil kī mānind mahal ko bhī akelā likkheñ
paar jo ham ne kiyā aag kā dariyā vo thā
zindagī ab tujhe biitā huā lamha likkheñ
tishnagī tishna-labī apnā muqaddar hai to
ab samundar jo likhā jaa.e to pyāsā likkheñ
kitne hissoñ meñ hameñ baañT rahī hai duniyā
aur taqāza hai hamīñ se use achchhā likkheñ
ham ne jab dekhā to tasvīr kā har ruḳh dekhā
aa.ina ban ke likheñ ab jo sarāpā likkheñ
bol anmol haiñ ye baat sadā yaad rahe
aap jo 'sīmā' likheñ ab vo nirālā likkheñ
dar-o-diwar ka badla hua huliya likhen
is haweli ka koi dusra naqsha likhen
na kanizon ka wo jhurmuT na bahi-KHwahon ka
dil ki manind mahal ko bhi akela likkhen
par jo hum ne kiya aag ka dariya wo tha
zindagi ab tujhe bita hua lamha likkhen
tishnagi tishna-labi apna muqaddar hai to
ab samundar jo likha jae to pyasa likkhen
kitne hisson mein hamein banT rahi hai duniya
aur taqaza hai hamin se use achchha likkhen
hum ne jab dekha to taswir ka har ruKH dekha
aaina ban ke likhen ab jo sarapa likkhen
bol anmol hain ye baat sada yaad rahe
aap jo 'sima' likhen ab wo nirala likkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.