dar-o-diwar sab aundhe girenge
dar-o-dīvār sab auñdhe gireñge
purāne ghar hameñ rote raheñge
baqā ke shahr meñ jaane se pahle
ham apne jism ke andar mareñge
shu.ūr-o-harf bhī jo chhin ga.e to
akele dasht meñ ham kyā kareñge
kahāñ tak jism ke de kar nivāle
zamīñ kā peT ham bharte raheñge
sahar kī raushnī phūTe na jab tak
añdherī shab kī āñkhoñ meñ jaleñge
hamāre ba.ad is kamre ke shāyad
ye parde der tak hilte raheñge
maiñ lauTā to shajar dariyā parinde
ḳhushī se merā māthā chuum leñge
'figār' ik din mire pairoñ ke chhāle
jo phūTe to na.e raste baneñge
dar-o-diwar sab aundhe girenge
purane ghar hamein rote rahenge
baqa ke shahr mein jaane se pahle
hum apne jism ke andar marenge
shuur-o-harf bhi jo chhin gae to
akele dasht mein hum kya karenge
kahan tak jism ke de kar niwale
zamin ka peT hum bharte rahenge
sahar ki raushni phuTe na jab tak
andheri shab ki aankhon mein jalenge
hamare baad is kamre ke shayad
ye parde der tak hilte rahenge
main lauTa to shajar dariya parinde
KHushi se mera matha chum lenge
'figar' ek din mere pairon ke chhaale
jo phuTe to nae raste banenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.