dar-o-diwar se jari lahu hai
dar-o-dīvār se jaarī lahū hai
tirī tasvīr kā dukh suraḳh-rū hai
bichhe haiñ duur tak patte zamīñ par
ye ḳhāmoshī nahīñ hai haav hū hai
ḳhushā āñkhoñ meñ jañgal haiñ tumhārī
bhaTakne kī mujhe bhī aarzū hai
jise chuTkī bajānā kah rahe ho
hamārī uñgliyoñ kī guftugū hai
koī to aa.e chheḌe zikr terā
samā.at kab se merī bā-vazū hai
dar-o-diwar se jari lahu hai
teri taswir ka dukh suraKH-ru hai
bichhe hain dur tak patte zamin par
ye KHamoshi nahin hai haw hu hai
KHusha aankhon mein jangal hain tumhaari
bhaTakne ki mujhe bhi aarzu hai
jise chuTki bajaana kah rahe ho
hamari ungliyon ki guftugu hai
koi to aae chheDe zikr tera
samaat kab se meri ba-wazu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.