dar-o-diwar se saya bhi na ubhra koi
dar-o-dīvār se saaya bhī na ubhrā koī
ab tire shahr meñ hogā bhī na ham sā koī
har darīche meñ khaḌā hai koī gautam ban kar
ghar kī tanhā.ī kā ab naam na legā koī
vahī TuuTā huā lamha thā muqaddar apnā
jaise jag biit ga.e ḳhvāb na dekhā koī
ek dīvār thī ḳhushbū kī jo haa.il hī rahī
jism-dar-jism mire sāmne aayā koī
dar-o-diwar se saya bhi na ubhra koi
ab tere shahr mein hoga bhi na hum sa koi
har dariche mein khaDa hai koi gautam ban kar
ghar ki tanhai ka ab nam na lega koi
wahi TuTa hua lamha tha muqaddar apna
jaise jag bit gae KHwab na dekha koi
ek diwar thi KHushbu ki jo hail hi rahi
jism-dar-jism mere samne aaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.