dar-parda jafaon ko agar jaan gae hum
dar-parda jafāoñ ko agar jaan ga.e ham
tum ye na samajhnā ki burā maan ga.e ham
ab aur hī aalam hai jahāñ kā dil-e-nādāñ
ab hosh meñ aa.e to mirī jaan ga.e ham
palkoñ pe larazte hue taare se ye aañsū
ai husn-e-pashīmāñ tire qurbān ga.e ham
ham aur tire husn-e-taġhāful se bigaḌte
jab tū ne kahā maan ga.e maan ga.e ham
badlā hai magar bhes ġham-e-ishq kā tū ne
bas ai ġham-e-daurāñ tujhe pahchān ga.e ham
hai 'saif' bas itnā hī to afsāna-e-hastī
aa.e the pareshān pareshān ga.e ham
dar-parda jafaon ko agar jaan gae hum
tum ye na samajhna ki bura man gae hum
ab aur hi aalam hai jahan ka dil-e-nadan
ab hosh mein aae to meri jaan gae hum
palkon pe larazte hue tare se ye aansu
ai husn-e-pashiman tere qurban gae hum
hum aur tere husn-e-taghaful se bigaDte
jab tu ne kaha man gae man gae hum
badla hai magar bhes gham-e-ishq ka tu ne
bas ai gham-e-dauran tujhe pahchan gae hum
hai 'saif' bas itna hi to afsana-e-hasti
aae the pareshan pareshan gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.